Manzil kaha is safar ki, anjaane rasto main dikhti hai zindagi,
Dhundha isko sawalo main, dub ke dekh liya khayalo main, par achanak bezuban
key ankahein shabdo main mili zindagi.
Awaaz thi gunjati har kahi, kuch lagti galat to kuch lagti thi
sahi, fir achanak ansuni unn awaazo main khilkarti suni Zindagi.
Dekha yu to Rango ko, Zamane ke badalte dhang ko, uthti
bethti umango ko, par kab pata tha Andherey ke rang main dikhegi Zindagi.
Dekhi har Kadam par nai chaal, jaaney kitney hoshiyar bunte
jaal, Par mand se chal rahe uss dimaag ki masumiyat main dikhi Zindagi.
Daudta rehta har koi, pahunchta ik dagar, mudd ke dekhta fir
kahi, is bhag daud main khoyi, aaj achanak dhimi chaal main dikhi Zindagi.
Har insaan kitne kartab dikhata, ungaliyo par is duniya ko
nachata, to koi inse kala dikhata, Ginni chuni unn ungaliyo se jadu bikherti
dikhi Zindagi.
Dhundtey firte badi ghatnao main chotey chotey palo main hai
Zindagi, jo kho diya uskey gum main nahi jo paya uski khushi main Jeena hai
Zindagi.
Mahal ke khali kamro main nahi, kamro main takratey vyangyo
main hai zindagi.Madhushaley ki andheri galiyo main nahi, ujwal sadko par dosto sang vartalaap karti hai Zindagi.
Shor machati awaaze nahin, Surila Saaz hai Zindagi.
Bujho to ik paheli, Samjho to Jawaab hai Zindagi.
Bayaan karu kya isey or shabdo main, padh kar isey jo tujhe mehsus hua bas usi ka naam hai zindagi.
Copyright Manisha Dawar
21st June 2013
No comments:
Post a Comment