Tuesday, 30 July 2013

Karam


Maano Agar purano ko, tujhse pehle ye dharti par aayein, tere attit ka bahi khaata ban tujhko ye apney sang kheench kar laye.
Sang chalet ye tere har dum, reh jayenge bas yahi dharti par, jab tu chorr dega dum.
Karam tera karta kabhi tujhko hairan to kabhi karta tujhko saavdhan.
Soch hai tere jeewan ka teer, or karam iska kamaan.

Soch le karam karne se pehle pyarey, baad main to reh jayega keval parinaam ke saharey.
Hat Karni se pehle sacha mann tujhko karta isharey, fir kyu chalta tu is chalak dimaag ke saharey.

Swarthi hai dimaag ye tera, chaal chalta rehta har dum, jeet par tujhko dega khushi to haar par tujhko dega ghum.
Mann to tera smajhta ik hee vaani, pyar baant duniya main sari, bas isi ka naam zindagani. Jodega tujhko ye kai dilo se, zindagi se tere judengi kai sundar kahani.
Dil or dimaag jab aapas main karte mann maani, murakh sa he bann jata hai wo badaa gyani.

Aese main insaan kis or chaley, dubti naiya ko kese chorr miley.
Guzre jab tu iss daur se , ghatna ko samajh samney waley ki aur se. Mitega andhera duvidha ka, milega tu faesley ki bhor se.

Yaad rakh; karega jo tu, wo laut kar wapis tujh pe aayega, phunk phunk key rakhna kadam nahi to karam par apney tu khud pachtayega.
Sambhal le tu aaj apni soch ko, warna aesa girega ki fir kabhi sambhal na payega. Waqt jo chala gaya abhi, fir laut kar na aayega.

Karta jaa tu aese karam, ki teri har chaal ban jaye dharam, tujh tak aye har ik prani, jiske mann main kabhi aaye koi bharam.

1 comment:

  1. really so thoughtful, manisha... quite confessedly, it did stir a cord or two of my conscience...!!

    ReplyDelete