Thursday 24 January 2013

Jaha Chah Hai Waha Rah Hai

Sai tera kya Kehna Ki tu kan kan main Samata Hai, Sachai ki raah chalta hai jo, Unhe tu Manzil tuk pahunchata hai.
Ik chah he to the jo jagi thi mann main, Usey nibhaney ki takat tune di is tan main.
Soch ko jab kar liya Sakaratmak, Nakaratmak sthitiya tikengi kese? Pani se jese Tune Deep Jala diye the zindagi ke amavasy main roshni layega tu he wese.

Raah to dikha raha tha tu, main he na sumjhi ishara, Chotey Chotey udharan de tune kathinaiyo se nikalne ka diya hai sahara.
Shraddha or Saburi, do Shabdo ko jaana to maine, par matlab tu aaj samjha raha hai.
Tu sath hai jo mere, mann ka har durr bhaga jaa raha hai.

Chahtey main chahe rakh lu kitni bhi, Ab to teri chah chalegi, Sach he to hai uss rah par chal kar manjil mujhe milegi.
Moh maya se bach paungi kaha ki main to sadharan insaan hu, par tur jaungi bhav sagar se, teri aapar kripa ka jo parmaar hu.

Pichle karmo ko badal sukti nai, unka fal to bhugatna padega. Par achai ki raah tham li hai jo ab, Chahe kitni bhi kathinayi ho? Vishwaas hai mujhe ki Sai tu mere sath he chalega.

Om Sai Ram

Bless all :)

© Manisha Dawar

3 comments: