Naino Se jab Barsa saawan to yaad
aya, kya maine hai khoya or kya paaya,
Doob he rahi thi jab is varsha
main, tab achanak tera khayal aaya, jab mann ki ankhein kholi to tujhko sath he
paaya.Bhula k pichli kahani dil ne gun gunaya, bahut hua, bas ab main jee loon zaraa.
Jee loon unn sapno ko jinko ankho
main hoon sanjoti, khayalo ke resham dhagey main piroti.
Jee loon in lamho ko ki tu mere
sath hai, hath tham k kehta hai tu, main hoon na, darne ki kya baat hai.
Haan sach hai ye ki tu ab tak
mere khayalo main hai, khuda se maanga hai tujhe, Gawah hai wo, ki hur dum tu
mere sawalon main hai.
Jigyasa hain mann main ki tu kab
aayega, par tab tak is intezar ko jee loon, bhavnao k is pyale ko pee loon.
Tujh sang to humesha chalega pyar
ka mausam, par tab tak is kudarat k nazare ko jee loon.
Sardi ka akelapan, to garmi main
chao ki talash, rim jhim barish main akele
he bheeg loon,
Jab aayega tu, to sath main
bantengey, par tab tak, dukh k patt-jhud or sukh k basant ko akele he Jee Loon.
Tere intezaar main tujh sang sath
rehna seeekh loon.
© Manisha Dawar
good one...(thums up)
ReplyDeleteReally nice.....its like live and enjoy every moment of life......
ReplyDeletethank you for your feedback kushagra and nikhil
ReplyDeleteManisha hats off to the panorama of words u create.
ReplyDeletethank you di.
Delete