Friday, 30 November 2012

Chanda teri Chandani


Mehsus kar rahi hu jitna, likh na paungi utna, par fir bhi koshish zarur karungi ki dewaana kiya hai aaj, Chanda Teri Chandani ne.
Ehsaas Hai wo Pehle pyar sa, Khuda teri Kudarat se Mohabat ke izhaar ka, Garam Sanso ko chuti thandi fizao ki takrar ka,

Kuch bol na rahi hai kudarat par sunn pa rahi hu ye khamoshi, Rom rom ko jugaa jati ye sheet ki sarghoshi.
Akela pann kabhi itna khushnaseeb na tha, ki pyar tu kabhi mere itne kareeb na tha,
Jhali main dhundh rahi thi tujhe kisi ek roop main, aaj to nazar aa raha hai tu har ek roop main.
Chanda Teri ye kesi hai maaya, Chandani ne teri aaj kehar hai dhaya.
Rait par bikhri hai jo, use apne tan se sparsh kar lu, lekar hathon main apne muthi main band kar lu,
Sheetal Jal par bikhri hai jo, usey pee apne andar samaa lu,
Asmaan main bikhri hai jo, uss chadar tale khud ko chupa lu.
Phulon par padhi oss main, hirey ki tarah ho chamak rahi, to kabhi gori k mang tike par ho Damak rahi.

Komal to tha he mann, par aaj kitna Komal bana diya hai tann,
Band ankhon se tujhe mehsus kar khud se he hoon Sharma rahi, aey ratiya teri aghosh main hu sama rahi.
Thandi hawaon ka kuch aesa hai sparsh, apne pyar ko gale lugane ka jesa hota hai harsh.
Ab likhu or kya? Bas in lamho ko jee lu, Aey chand tere mehkhane se iss chandani ko pee lu.

© Manisha Dawar

2 comments: