Saturday 17 November 2012

Tujh Bin

Pichley pal to Yahi tha, Ab naa Jaane Kaha hai? Tujh Bin Soonaa Soonaa Sa Lugta Ye Jaha Hain.
Tann To mera hai Yaha, Par mann to mera tere waha hai, Sabrr ka mere Ye Zindagi le rahi imtihan Hain.

Waqt Guzarta ja raha hai, Kuch bhi to ruka nahi, Sab kuch waesa he Dikhta hain, par nazariya badal raha hain

Ki Tere bin Phul Khilte hai abb Bhi, par mujhe dekh muskurate Nahin,
Panchi gungunate hai magar geet mujhe koi sunate Nahin,
Nadiya behti hai abb bhi, par kal kal mujhe sunayi deti Nahin.
Shama Jalti to hai, par Roshni Mujhe Deti Nahin.

Yaad Main teri Guzarte hai Din, Sansein Chalti to hai par Jeeti Kaha hu Tujh Bin.
Ab to ye ankhen Lugti hai badi badi, or Sapna Chota, Kash har pal tu Bas mere kareeb hota.

Yaad main teri Sajna Sawarna Bhul gayi, Sunehri un galiyo main chadti Dhul gayi,

Laut aa Ki tujhe Dekhne ko ankhein tarasti Hain, Sapney dekhe hai jo sath unhe jeene ko Machalti Hain.
Waqt Kay sath Rishtey ki neev ko Mazbut Banayenge, Zindagi Ki har seedhi Sath Chadhte Jayenge.
Ek Dusrey ka hath thamey, Pyar Ki shauhrat Kamayenge

© Manisha Dawar

6 comments: