Sunday, 10 February 2013

Patjhadd


Har mausam ka vivran karte anek, ik pathjadd he to aesa, jiska karta koi ek.
Bahaar jaese nai kaliyo ko khilna sikhati, pathjhad purani yado ko dhundlati.
Pathjhad ka intezar karta kaun, phal na koi na phul khila, panchi bhi jese ho jate hain maun.

Dekh rahi thi jab pato ko jhadte, socha agar ye na dete balidan ,to kese tarur pe naye rang khilte.
Jeewan ki bhi to hai kuch aesi sheli, udasi ki chaya jab tuk na bikhre, khushi ki roshni bhala kese dikhegi pheli?

Basant main pedh par bethe panchi ki chi-chi to har koi nihaarta, par sukhe pato ko hawa jo chedd jaati unki chal ko kaun hai saraahta?

Patey ye hai ik shikksha dete, shakhao se alag ho bhi jeewan nrity ka pradarshan hai karte.
Suno patjhad ki ritu kya hai kehti? Udasi to hai kuch pal ki, naye jeewan ki raah ye he deti.
Sukhe pato or tehniyo ka bhura rang dekho kya hai sikhaata, buddah ho jaye pedh chahe ant ka sochta nahi, naye janam ki or andesha karaata.

Sard hawa jo pedho ko chu jati, sheett yudh ka aabhaas karaati, yudh magar hai kiske saath? Pedh to aaj bhi khada hai fehlaye apne haath.

Pato k jo ye wastr utarey, kehta hai saraho in tehniyo ko, saal bhar ye he to rehte hai sabko sambhale. Pata ho ya phul koi, chahey panchi janmein ghosle main, ya sajni sajan godd main shakha k sahare soyi.

Nanhe panchi ko udna sikha azaad kar wo ma jisne mamta se ankhen bhigoyi.
Sehlao ise ki jadd ye hai naye shuruaat ki, amavasya k baad aaney wali nayi chandani raat ki.
Sikhlo patjhadd ye he hai sikhata, udaasi or viraniya antt hai na jeewan ka or jeewan ke antt tuk koi inhe nahin hai le jata.

Bahar to aani he hai ki samay ka chukr chalta rahega. Tikk gaya jo ek samay, to sikha tune kya jeewan se? kisko kya kahega??

© Manisha Dawar

3 comments:

  1. its wonderful...dis should definitely be added in school book

    ReplyDelete
  2. it is grt gud too see sumone writing in hindi the literature we prefer to avoid in this modernity gimmick. 3 words Satyam.. Shivam.. Sundram.

    ReplyDelete