Monday, 15 October 2012

Kashmokash

Jab Sath mere tu Har dum tha, Tab bhi ek anjana sa Ghum tha, par pyar main humare akelapan kuch kum tha.
Sath main humare, Main dhundhti Rahi apne aap ko; aaj jo pa liya apne aapko, to nazare dhundhti Hai aapko.
Itna Niswarth ho gaya hai aaj, ya shayad umeed he nahi hai baki, Jo sukun tu deta tha kabhi aaj teri parchayi hai de jati.
Tu paas na sahi tera ehsaas to hai, is janam main na sahi, agle janam ki aas to hai. Seekh is janam ki apne sath to hai.
Baandh k rakh paya hai kaun apno ko jo hum ek dusrey ko baandh pate, samay sima khatam hote he, apne hai bichad jatein. chah thi to bas itni, ki akhri Sans teri Chaow main guzaar jaatein, Zuban na bhi bol pati agar, to ankhen bol deti, humari tarasti aaho par pyar ka akhri ehsas chod deti.
Zindagi Bhar ka Sath na hua to kya, Pyare lamho ki Sogaat he Sahi, Teri Baarat nahi to kya, unn Sapno ka Sath he Sahi.

Baya karu kese apne jazbaton ko ki kahani he adhuri hai, kal tuk paas the jitne aaj utni he duri hai.
Aagey badti ja rahi zindagani bas waqt ki majburi hai, apne karmo k hatho maat khati, ye kashti kinare se badati ja rahi duri hai.

Paas ayenge na hum, ki darr hai ghum ka saya fir na gher le, Iss rishtey ka koi kinara nahi, Beech Majhdar main reh jayenge khade. doobne ka darr hai kise, bas yaad aati apno k prati wo zimedari jo abhi adhuri hai.

Jo likh na payi yaha usko tu padh lena, jo keh na paungi kabhi uss ko tu sunn lena...
Yaad rakhna agar jeene ka sahara milta ho ussey, Ghum na karungi agar khushi se bhula bhi dega mujhe..

Zindagi ki pathshala main aagey badh jaana, seekha jo inn panho se usey dobaara na dohraana..
Sath hua agar to fir milenge, ek dusrey ki raah ka kanta na banenge bas phul raho main bikher denge..

© Manisha Dawar
 

1 comment:

  1. nice one....if one understands than its a learning for all,,,,good one manu....

    ReplyDelete