Thursday 16 May 2013

Ratiyaa


Naam Jab tera Kisi Zubaan Par aaye, Sabse pehle aankhon Ke aagay andhera chaye, Durr tuk bhaley koi kitni chala jaye.
Ek tuk jab dekhne lag uteri aur, nazar aaney lugta kuch aur.
Durr kahi ik loh hai jalti, Umeed ki nayi Kiran hai palti, Ziddi se uss sanchey main Roshni ki nayi murat dhalti.

Main na janu tujhko kese baya karte log, Ghum ke hatho marey tujhko kehte hongey Rog! , To Akeley pan ke sataye kehte hongey Jog.
Soch par insaan ke, nit teri kaya badalti, sach to ye hai ki ratiya tu har din sang hai chalti.
Koi kehta tu aaye har din ke baad, to koi kahe din aaye teri har chaal ke baad.
Samjhe jo tujhe wo ye jaan jaye, har khushi ke baad ghum, or har ghum ke baad aye khushi.
Khel hai ye waqt ka, isey kaun tham paye.
Iss khel ko koi jab samajh jata, khushi or ghum ko bhul Zindagi ko bas Tajurbey ke aankdey main naapta.

Andherey main tere, bas simta nahi hai ghum, khushiya deti hai jitni; logo ko nazar aati hai bahut kum.
Aaj banna chahu zubaan teri, kissey tere or baatein meri,
Nanhe Balak ko sota hua dekh tu maa ko sukun hai deti, parishrami ki din bhar ki thakawat harr leti,
Thuki umeedo ko naye sapney hai deti.
 Gup chup bato ko audhti, premi yugal ko jodti, tanhai ko todti, band raho ko nayi manzilo ki aur modti,
Or ha waqt se pratiyogita kar aagey badh, roshni ka swagat karne tu he to hai Daudti.

Ratiyaa tu ab akeli kaha, tujh sang judi bhawnaye hai, amawasya ki raat aaye bhi to kya, taro ki chadhar audh tu har dam rehti hai khadi.

© Manisha Dawar

No comments:

Post a Comment