Friday 24 May 2013

Andherey ka Rang

Yu he bethe jab soch rahi thi, ki kin rango se berang hui zindagi; achanak nazar aaya Andhere ka rang.
Uss ek lamhe ne badal diya jeene ka dhang, Chal raha tha wo uss muskurati murat ke sang.

Gaadha tha woh rang kaunsa, lagta tha ki sab rango ko kha gaya,
Zindagi main anchahi mayusi Feyla gaya.
Uska andhera tha itna ujwal ki meri roshni fiki padh gayi;
Uski dheemi chal ke aagey, meri bhagti daudti zindagi thum gayi.
Uski kami main dikhi zindagi ki sampurnta, or meri sampurnta main dikhi zindagi ki kami.
Uski band ankho main bhi khilti thi hasi; or meri khuli ankho main bhi thi nami.
Heraan thi main dekh kar, ki kese andherey main usney sarey sansaar ko samaaya,
Or kis tarha in naino se sab kuch dekh kar bhi mera mann sabko na apnaa paya.

Uskey niraley vyaktitv ka samajh aaya mujhko raaz, bhut bhavishy ko bhul kar; bas jeeti thi wo “AAJ”
Beete kal ka bojh kaha, aaney waley kal ki fikr na hai jawaan; Audh ke chalti hai wo apney sir par aazadi ka TAAJ.

Dhundhti nahi kisi ka sath, uski nidarta ki alag hai baat,
Din ki hai usey chah kaha, pyar se guzaarti hai wo lambi raat.

Kis soch main Dubey rehte hum har dam, Satrangi na sahi berang to nahi hai Zindagi,
Mil jaatey agar rang saarey to kese zinda rehti Bandagi.
Chah ho jab aagey badhne ki, Ishwar raah dikhata hai,
Prastut karta hai wo udharan, ye nadan mann he na samajh pata hai.
Na jaaney kin khayalo ke jaal main khud ku bunta jaata hai.
Samajh jata jo zindagi ka matlab; wo Purshottam kehlata hai.

© Manisha Dawar

Thursday 16 May 2013

Ratiyaa


Naam Jab tera Kisi Zubaan Par aaye, Sabse pehle aankhon Ke aagay andhera chaye, Durr tuk bhaley koi kitni chala jaye.
Ek tuk jab dekhne lag uteri aur, nazar aaney lugta kuch aur.
Durr kahi ik loh hai jalti, Umeed ki nayi Kiran hai palti, Ziddi se uss sanchey main Roshni ki nayi murat dhalti.

Main na janu tujhko kese baya karte log, Ghum ke hatho marey tujhko kehte hongey Rog! , To Akeley pan ke sataye kehte hongey Jog.
Soch par insaan ke, nit teri kaya badalti, sach to ye hai ki ratiya tu har din sang hai chalti.
Koi kehta tu aaye har din ke baad, to koi kahe din aaye teri har chaal ke baad.
Samjhe jo tujhe wo ye jaan jaye, har khushi ke baad ghum, or har ghum ke baad aye khushi.
Khel hai ye waqt ka, isey kaun tham paye.
Iss khel ko koi jab samajh jata, khushi or ghum ko bhul Zindagi ko bas Tajurbey ke aankdey main naapta.

Andherey main tere, bas simta nahi hai ghum, khushiya deti hai jitni; logo ko nazar aati hai bahut kum.
Aaj banna chahu zubaan teri, kissey tere or baatein meri,
Nanhe Balak ko sota hua dekh tu maa ko sukun hai deti, parishrami ki din bhar ki thakawat harr leti,
Thuki umeedo ko naye sapney hai deti.
 Gup chup bato ko audhti, premi yugal ko jodti, tanhai ko todti, band raho ko nayi manzilo ki aur modti,
Or ha waqt se pratiyogita kar aagey badh, roshni ka swagat karne tu he to hai Daudti.

Ratiyaa tu ab akeli kaha, tujh sang judi bhawnaye hai, amawasya ki raat aaye bhi to kya, taro ki chadhar audh tu har dam rehti hai khadi.

© Manisha Dawar

Tuesday 7 May 2013

I had forgotten

When we two met to become I, I did all that I could try. It was all part of us; laughing tears to sorrows cry.
We enjoyed every moment, from the spring of emotions, to statements dry.

In the warmth of your love I had forgotten the chill of the cold, but never realized this cold wind freezes my thoughts.
I had forgotten what sunburn is, but never realized; to absorb suns heat, it’s every ones turn.
I had forgotten to get wet in the rain, but never realized, it helped bad memories to drain.

Lost in your dreams- I forgot the reality, with eyes wide open, vision certainly has more clarity.
When you were my world- all my ambitions; towards you they mold.

I had forgotten, my life too has a goal.
When I gave you my trust- I had forgotten, its fragile very easily it may break.

Leaving me shattered; all energy would it take. But they say, when one door closes open’s another gate.

I had forgotten; to every end beginning is not too late,
Unless you have forgotten to live, coming for death, is what you wait.
Every burden is light; no problem has that weight, you have survived the digestion of what your life gave, don’t forget, it was only you who experienced all that you ate.  

Love, Care, Live for today, dream beautiful, smile and open your arms for its your positive thoughts that would build your fate.

© Manisha Dawar