Tujh Sang Bitaye palo ki kuch dhundhli si hai yaadein, Kano
main gunj uthati hai kabhi, barso purani awaazein.
Nanhi gudiya ko khelte dekha jab apney pita ke saath, laut
jana chaha tha maine usi pal main, Jab pyar banta hoga tumne mere
sath
Sabse purani wo aakhri mulakat, yaad nahi kuch uss yaad ke
baad. Dimag par zorr dala jitna, Dil bhar aaya mera utna, Soch main pad jaati
hu, ki kyu aaj meri Zindagi tujh sang aabad nahi.
Tu Sath hota to pyar karti kabhi to kabhi tujh sang ladti, seekhti
tujhse duniya-daari, to kabhi kitaabein thaam tujh sang padhti. Teri palko ki
chao tale tere ladd dular main palti.
Yaad aata hai kuch kuch, kab tune tha khel main mujhe haraaya,
mele ka aakarshan dikhane, apne kandho par mujhe chadhaya.
Yaad hai mujhko wo cycle chalana, teri godi main beth car ka
steering sambhalna. Scooter par, aagey khada kar beach par tera mujhe Maa sung le
jaana, zidd par meri fir wo chatpata khana khilana. Meri ankho ki bhasha padh
wo Gubara dilaana.
Kaam se laut kar aate the jab, lohe to kabhi kanse ki aati
thi Khushboo,
Yaad aata hai tere hath ka wo sparsh, meri kamyabi par tere
chehra par khilta tha harsh, ye sab reh gaya hai beeta zamaana In sabse ab
kabhi na ho paungi main rubaroo.
Yu to sath chalta tu har dum hai, fir kyu ladkhadate mere
kadam hai?, Saump chala tu jo zimedari, pyar mila ussey itna, sari umar rahungi
main aabhari. Amaanat bana jisey byah
laya tha tu, de chala tu mujhe rakhne ko sambhal abb hai meri baari.
Moh maaya chodd tu jo badaa muskurata hai, kese sang rakhu teri
amaanat har dum? Mujhe tu kyu nahi bataata hai.
Farz nibhaaungi beta bann, par main hu ik beti, ik din vida
ho jaungi main!! Sari duniya yehi hai kehti.
© Manisha Dawar
© Manisha Dawar
U have power to express emotions
ReplyDeleteKeep the good wrk going !!
Reminds me of My Dad. I too Miss him every moment
ReplyDeleteBeautiful it is :)
ReplyDelete