Fir aayi Holi, Par Piya tu kaha Hai, Apne sajan sang holi khel rahi sara jahan hai.
Har Roz yu to sajati Vivahita LAL rang hai, Par aaj uske chehre par iss rang ke khilene ka alag he dhung hai,
Yuvti wo jo Saajan ke sapne sanjo mand mand muskati,
Gulabi rang main hai dekho kese khil khilati.
Sakaaratmak khayalo wala vyakti, dekho bheed main ujwal sa khada, Chehera par uske hai rang hara.
Nanha Natkhat har kisi ko kar raha hai Geela, Masumiyat ki jwala ko audhta Rang Peela.
Gehri Soch Khule Vichar, Prakriti ka Prakat Karte Aabhar, Ye he to hai neele Rang ka adhaar.
Chidta Kabhi to kabhi dusro ko chidhata, Wo khushmizaz khud ko KESRI se sajata.
Tujh Sang Jeena Chahu Se Sabhi Rang,
Intezaar Fir hua shuru kab aayegi agali Holi, Umeed hai Jab sang hoga tu mere khil uthegi in sabhi rango ki toli.
Mann Se mere nikal tan par khil uthega tere pyar ka rang.
© Manisha Dawar