Thursday 25 October 2012

Choose to Move On..


I kept thinking from dusk to dawn, all that I knew was I have to move on. I don’t have to morn, for the past has already gone. If the moments that I trace were full of grace.. I wonder why is it? That nothing seems to be on its place? Then why does it hurt to give life a new birth? Gold of the sweet memories, and bad memories equivalent to dirt, all have to fly away like a migrant bird. What are you running for, and whom do you chase? It’s only you and the time that are at race. How long would you carry the baggage of past? Hope, not until there is nothing to last. Time is running, you have to move fast. Live in the present be the drain-mast of the past. Don’t worry for future for it would definitely be bright, only if your directions are right. Come hug the future and kiss it tight. Trash all your fears, look at your dears. That one person is waiting for you, happy moments are on its due. Open your palms and he will hold your hand; beautiful relation would start with a friendships band. Just keep the positive attitude, trust God you will express only gratitude.

© Manisha Dawar

Tuesday 23 October 2012

Khubsurat sa Ehsaas

Mausam Badal raha hai, bhagwan ka sahara hai, ik nayi kahani ki aur kudarat bhi de rahi ishara hai..
Geeli mitti ki khushboo fizaon main hai. Madhyam Sard si hawa chu kar chali jati, kaan main meethe bol hai gungunati.

Kesariya rang main sajta badal, Gauri ki ankhon main dhundhla sa kajal.
pato par wo bundh pyar ki, chodd jati hai dil main yadein yaar ki..

Mitti ki nami hotho par khilti, ek hone ki chah main tittli phul se hai milti,
Kudarat sari, dulhan si hai sajti, Fir sajan se milne sajni 16 singhar kar Doli main chali, Ab chain milega usey, sirf pritam ki he gali.

© Manisha Dawar

Monday 15 October 2012

Kashmokash

Jab Sath mere tu Har dum tha, Tab bhi ek anjana sa Ghum tha, par pyar main humare akelapan kuch kum tha.
Sath main humare, Main dhundhti Rahi apne aap ko; aaj jo pa liya apne aapko, to nazare dhundhti Hai aapko.
Itna Niswarth ho gaya hai aaj, ya shayad umeed he nahi hai baki, Jo sukun tu deta tha kabhi aaj teri parchayi hai de jati.
Tu paas na sahi tera ehsaas to hai, is janam main na sahi, agle janam ki aas to hai. Seekh is janam ki apne sath to hai.
Baandh k rakh paya hai kaun apno ko jo hum ek dusrey ko baandh pate, samay sima khatam hote he, apne hai bichad jatein. chah thi to bas itni, ki akhri Sans teri Chaow main guzaar jaatein, Zuban na bhi bol pati agar, to ankhen bol deti, humari tarasti aaho par pyar ka akhri ehsas chod deti.
Zindagi Bhar ka Sath na hua to kya, Pyare lamho ki Sogaat he Sahi, Teri Baarat nahi to kya, unn Sapno ka Sath he Sahi.

Baya karu kese apne jazbaton ko ki kahani he adhuri hai, kal tuk paas the jitne aaj utni he duri hai.
Aagey badti ja rahi zindagani bas waqt ki majburi hai, apne karmo k hatho maat khati, ye kashti kinare se badati ja rahi duri hai.

Paas ayenge na hum, ki darr hai ghum ka saya fir na gher le, Iss rishtey ka koi kinara nahi, Beech Majhdar main reh jayenge khade. doobne ka darr hai kise, bas yaad aati apno k prati wo zimedari jo abhi adhuri hai.

Jo likh na payi yaha usko tu padh lena, jo keh na paungi kabhi uss ko tu sunn lena...
Yaad rakhna agar jeene ka sahara milta ho ussey, Ghum na karungi agar khushi se bhula bhi dega mujhe..

Zindagi ki pathshala main aagey badh jaana, seekha jo inn panho se usey dobaara na dohraana..
Sath hua agar to fir milenge, ek dusrey ki raah ka kanta na banenge bas phul raho main bikher denge..

© Manisha Dawar