Saturday 4 January 2014

Sheet Ki Bochaar


Barkha aaj tu fir naye rup main ayi, sulagti grisham se rahat nai thithurti sheet main nai kampan layi.

Pehle ki he bhanti to har daal or paat par hai chai.

Tyag dekh tu kudarat ke in apne sathiyo ka ki kampti halat main bhi teri bundo ko hai sambhalte.

Daaw par luga astitv apnaa tere astitv ki raksha karte.

Yu to rup tera hai nirala par le ati hai tabahi bhi, bhuli tu kese gharo main he nai tere prakop ka nishana hai sadko par bikhre bhai bhi.

Sheet ki sard hawa sang tera aana, sabse pehle garib ne tere rudr rup ko jaana.

Yu to swagat karti main bhi tera har dam, par is ritu tera darshan paane ki abhilasha hai kam.

Anng to hai tu bhi kudrat ka fir bhala kese besaharo par tune nishana hai taana.

Naraaz naa ho par tu grishm main aana jab khuli baho se swagat karega tera ye sara zamaana

 

Manisha Dawar