Badti Umar ke sath chahey ghat jaye urjaa, Pal Pal badta
jaata hai insaan ka tajurbaa.
Budape ko dekh katrate ho aese, iss seedhi par tum kadam naa
rakhogey jaese.
Unn ankho se jissey tha tumne jag ko nihaara, kamjor ho
chali jo aaj, wo dekh rahi hai berukhi ka ishaara.
Nazar andaaz na kar isey, ki yeah he hoga tera kal, niharta
hai jisey aainey main, kuch palo ka saundary hai wo, sachai se kal jab hogaa
rubaroo ehsaas hoga vyangyatamak tha wo.
Mann ki ankho se jo dekhega uss buzurg ko, uski zindagi lagegi
roshan, dimaag ki soch taley jo dab gaya tu, bachi zindagi nazar aayegi hoti
ojhal.
Aa pehchan karau teri kal ke aap se, kaese mazbut bani ye
zindagi lamho ke taap se.
Sar par shwet dikhta hai jo, umar bhar ki tapsya, anmool hai
wo. Chandi sa chamakta jo, kamai izat ki punji ka hai wo Prateek, Ujwal
aankhein dikhti hai jo, jalta hain inmein tyag ka deep.
Jhuriya dikhti hai jo aankhon ke neechey, pramaan hai ye unn
sapno ka, jaane kitne boye or kitney seenchey.Kaamptey hath, giney chuney daant jo thar tharatey, apno se bichadne ka dekho darr hai sunatey.
Karno ko jo kum sunti waani, acha he to hai, apno ki dutkaar inhoney na jaani.
Kandhey aaj jo dikhtey kamjor, bhulo na inhoney he uthaya tha purey pariwaar ka bojh.
Chaltey kabhi they jo seena taan, aaj chaudhey ho wo kaesey, apney bacho nai banaa diya apne ghar main he mehmaan.
Kadwey ghunth bharte jo har dum, kaesey niwala niglengey.
Pyar ke bas do bol, bol do pal bhar main he yeah piglengey.Dekh zaraa un hatho ki aur, zindagi banai inhone tumhari, or
ab chalata hai tu inpar kismat ka zorr.
Thakey kadam jo aaj dagg magatey, zindagi ke har mausam ko
jhela hai inhoney mushkilo main mazbut khadey to aasan lamho main naachtey
nachatey.
Aakarshak kapdo ki inhey zarurat kaha, Sachai or imaandari
ke usulo seapna vyaktitv sajaaya hain, Sochta kya mulyatmuk cheezo ke baarey
main, zindagi ki har chunoti se ladd aagey badh khud ko himatt ka taaj pehnaya
hai.© Manisha Dawar